Friday, August 17, 2007

seher

Badh rahe hain kadam ………… kahaan ……..jaanti nahin main
Phir ghul rahi hai tanhaai ………kyun ………jaanti nahin main

Chehra mila rahi hun … anjaane chehron ki bheed mein
Koi apna talaash rahi hun .........begaane se is desh mein

Faasle ab zindagi ke maayne bayaan karte hain
Awaaz hi bas ab is rooh ke jashn hua karte hain

Kabhi koi anjana ek muskaan de jata hai
Aur kabhi apna hi koi moti chalka jata hai

Shaamein khwaab ke khwaab se sihar jaati hain
Khwahishen dil ki bas aah ban kar reh jaati hain

Honsale khule aasmaan ke neeche simat jaate hain
Ab to gham bhi hamara saath dene se katarate hain

Shab phir bhi ek sunehri seher ki umeed mein soti hai
Wo kehte hain na ………..
is jahaan mein hi do jahaan ki khushi naseeb hoti hai…