Badh rahe hain kadam ………… kahaan ……..jaanti nahin main
Phir ghul rahi hai tanhaai ………kyun ………jaanti nahin main
Chehra mila rahi hun … anjaane chehron ki bheed mein
Koi apna talaash rahi hun .........begaane se is desh mein
Faasle ab zindagi ke maayne bayaan karte hain
Awaaz hi bas ab is rooh ke jashn hua karte hain
Kabhi koi anjana ek muskaan de jata hai
Aur kabhi apna hi koi moti chalka jata hai
Shaamein khwaab ke khwaab se sihar jaati hain
Khwahishen dil ki bas aah ban kar reh jaati hain
Honsale khule aasmaan ke neeche simat jaate hain
Ab to gham bhi hamara saath dene se katarate hain
Shab phir bhi ek sunehri seher ki umeed mein soti hai
Wo kehte hain na ………..
is jahaan mein hi do jahaan ki khushi naseeb hoti hai…

8 comments:
waah!! laajawab...mujhe laga ki bahut dino baad class tenth ki kavya kalp ki kavita pad raha hoon...equally good at hindi haaan !!!
class tenth !!! grrrrrrrr !!!
but tumhari hindi mein dosh hai !!
apni hindi ki teacher se check karvao !!
Hai.. inshaaa alaaah.. kya vichaaaar hai... kya likhtey hai aap... waaah waah.... waaah waah... waah waah...:)
duniya mein aapke deewane to kai honge,
apki kavita ne humein bhi aapka kayal kar dala...........
:)
:*)
neha : shukriya !! shukriya !! shukriya!!
prinku : hai !! bas aapki inhi baaton pe to hum fida hain !! :*)
decent hai....some of the lines are sloppy but overall achhca hai. :)
Hi ady...yaar these set of lines...are just more than rhyming lines...i read it again one gloomy afternoon in office n was sheerly lost into it...got its message... like what is like being in seher full of frustrations and tensions where a moment of happiness serves like an oasis in desert...hats off again :)
hey kim ..........
yeh comments likhne ke portion hai ......... tum to yahaan bhi blog likh rahe ho .... not fair .... but aapke itne sanjida samiksha ka shukriya !! :)
Post a Comment